Thursday, May 26, 2011

Koshish karne walo ki - meaning

lehron se dar kar nauka paar nahi hoti
himmat karne walon ki haar nahi hoti
(lehron=waves, dar=fear, nauka= boat, paar=cross, nahi= not,
himmat karne waale= courageous people, haar= defeat)
nanhi chinti jab dana lekar chalti hai
chadti deewaron par sau baar fisalti hai
mann ka vishwas ragon mein sahas banta hai
chad kar girna, gir kar chadna na akharta hai
akhir uski mehnat bekar nahi hoti
koshish karne waalon ki haar nahi hoti....
(nanhi chinti = small ant, dana=grain, chalti = walks, chadti deewar = climbs the wall, sau baar= hundered times, fisalti= slips,
mann ka vishwas= belief / determination, ragon = veins/ nerves, sahas= bravery/courage, banta= becomes, girna= fall, akharta= discourage,
akhir= finally, mehnat= hard work, bekar= useless,
koshish= attempt)
dubkiyan sindu mein gota khor lagaata hai
ja ja kar khali haath laut aata hai
milte na sehej hi moti pani mein
behta duna utsah issi heiraani mein
mutthi uski khali har baar nahi hoti
himmat karne walon ki haar nahi hoti....
(dubkiyan = dive, sindu = indus river, gota khor= person looking for pearls, khaali haath= empty handed, laut = return,
milte = get, sehaj = easily, moti= pearls, pani = water, behta = flows, duna= twice over/ double, utsah= enthusiasm ,
mutthi= fist, uski= his, khaali = empty, har baar= everytime)
asaflta ek chunati hai sweekar karo
kya kami reh gayi dekho aur sudhaar karo
jab tak na safal ho neend chain ki tyago tum
sangharshon ka maidaan chhod mat bhago tum
kuch kiye bina hi jai jai kaar nahi hoti
himmat karne walon ki haar nahi hoti....
Failure is a challenge, accept it,
See what went wrong and improve on it,
Don't rest till you succeed,
Don't give up your efforts,
Praise doesn't come free,
Courageous people never fail.

1 comment: